Movie Reviews
Shadi se Pehle (Before Marriage): the title often refers to premarital sex, but that was not the issue in this romantic-gangster-comedy. this was a fun movie, and the hindi is at a good speed and not so complex for non-Indians to understand.
Fanaa: a romantic drama. aamir khan seems to concentrate on movies with patriotic, nationalist themes-- 1947: earth, lagaan, mangal pandey, rang de basanti... but the best part of this movie was all of the poetry:
Here are some of the couplets and poems from the movie... translations coming soon:
Sher-O-Shayari
The following are some of the shers recited by the actors in the movie:
1
Na Shehar Dekho Na Biyabaan Dekho,
Khuda ka Iklauta Naam-o-Nishaan Dekho,
Bas aankh uthaao,
Aur Rehan Dekho.
2
Phool hun Gulaab ka...
Chameli ka mat samjhna...
Aashiq hun aapka...
Apni Saheli ka mat samjhna....
3
Baithi hain honthon ko see kar, pachhtaainge aap,
Ishq jaag uththa hai aksar aisi khaamoshi key baad.
4
Insaan ki khawahish ki koi intihaa nahi,
Do gaz zameen chahiye, do gaz kafan key baad.
5
Dard sey aankhein chaar kar lein gey,
hum bhi imtihaan dey dein gey,
Teri dosti key khaatir ai dost,
hum dushmanon sey bhi payaar kar lein gey.
6
Humse Door Jaoge Kaise,
Dil Sey Hamein Bhulaoge Kaisey,
Hum Woh Khushbu Hain Jo Saanson Mein Bastey Hain,
Khudki Saanson Ko Rok Paoge Kaise.
7
Aisa laga Khuda nein Rakh diya hamaarey dil pey haath,
Liya naam hamaara unhon nein kuch aisi ada key saath.
8
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Jaam Doosron Sey Cheen Kar Hum Piya Nahi kartey,
Unse Mohabbat Hai To Aakar Izhaar Karein ,
Peecha Hum Bhi Kisi Ka Kiya Nahin Karte.
9
Paani Sey Pyaas Na Buji To Meikhaaney Ki Taraf Chal Niklaa,
Socha Shikayat Karoon Teri Khuda Sey, Par Khuda Bhi Tera Aashiq Niklaa.
10
Tujhey is Baazaar ka Dastoor Mein Samjha na Saka,
Bik Gaya jo Woh Khareedar ho Nahi Saka.
11
Aag suraj main hoti hai,
Jalna Zameen ko padta hai,
Mohabbat Nigaahein karti hain,
Tadapna dil ko padta hai.
12
Bhool Kar key Agar Hum sey koi bhool hui ho,
To bhool samajh kar bhulaa deyna,
Leykin bhulaana sirf bhool ko,
Galati sey bhi humein na bhulaa deyna.
13
Rone De Tu Aaj Humko Tu Aankhe Sujaane De,
Baho Me Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De,
Hai Jo Seene Me Quaid Dariya Wo Chut Jayega,
Hai Itna Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega
14
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Jaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
15 (possibly the best known of the film's many shers)
Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye.
Tere ishq mein meri jaan Fanaa ho jaye.
0 Comments:
Post a Comment
<< Home